Sitaaron Se Aage Jahaan Aur Bhi Hain | Allama Iqbal Ghazal

Allama Iqbal Shayari
Full Ghazal Below


Sitaaron se aage jahaan aur bhi hain

Abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain


Tahi zindagi se nahin ye fazaaein

Yahaan saikdon kaarwaan aur bhi hain


Qanaa'at na kar aalam-e-rang-o-boo par

Chaman aur bhi aashiyaan aur bhi hain


Agar kho gaya ik nasheman to kya gham

Maqaamaat-e-aah-o-fughaan aur bhi hain


Tu shaaheen hai parwaaz hai kaam tera

Tere saamne aasmaan aur bhi hain


Isi roz o shab men ulajh kar na rah ja

Ki tere zamaan o makaan aur bhi hain


Gae din ki tanha tha main anjuman mein

Yahaan ab mere raaz-daan aur bhi hain


सितारों से आगे जहाँ और भी हैं

अभी इश्क़ के इम्तिहाँ और भी हैं


तही ज़िंदगी से नहीं ये फ़ज़ाएँ

यहाँ सैकड़ों कारवाँ और भी हैं


क़नाअत न कर आलम-ए-रंग-ओ-बू पर

चमन और भी आशियाँ और भी हैं


अगर खो गया इक नशेमन तो क्या ग़म

मक़ामात-ए-आह-ओ-फ़ुग़ाँ और भी हैं


तू शाहीं है परवाज़ है काम तेरा

तिरे सामने आसमाँ और भी हैं


इसी रोज़ ओ शब में उलझ कर न रह जा

कि तेरे ज़मान ओ मकाँ और भी हैं


गए दिन कि तन्हा था मैं अंजुमन में

यहाँ अब मिरे राज़-दाँ और भी हैं


ستاروں سے آگے جہاں اور بھی ہیں

ابھی عشق کے امتحاں اور بھی ہیں


تہی زندگی سے نہیں یہ فضائیں

یہاں سیکڑوں کارواں اور بھی ہیں


قناعت نہ کر عالم رنگ و بو پر

چمن اور بھی آشیاں اور بھی ہیں


اگر کھو گیا اک نشیمن تو کیا غم

مقامات آہ و فغاں اور بھی ہیں


تو شاہیں ہے پرواز ہے کام تیرا

ترے سامنے آسماں اور بھی ہیں


اسی روز و شب میں الجھ کر نہ رہ جا

کہ تیرے زمان و مکاں اور بھی ہیں


گئے دن کہ تنہا تھا میں انجمن میں

یہاں اب مرے رازداں اور بھی ہیں


English Translation of Allama Iqbal's Ghazal:

Other worlds exist beyond the stars

More tests of love are still to come


This vast space doesn't lack life

Hundreds of other caravans are here


Don't be content with the world of colour and fragrance

Other gardens there are, and other nests too


What is the worry if one nest is lost?

There are other places to sigh and cry!


You are an eagle, and flight is your vocation

You have other skies stretching out before you


Do not remain entangled in this day-and-night

Other times and places belong to you


Gone are the days when I was alone in company

Many here are my confidants now


See Vedio:


Interesting fact about this Ghazal:

This Ghazal is taken from the Allama Iqbal's famous book "Bal-e-Jibreel" (1935).

Post a Comment

0 Comments